Wednesday, February 08, 2006

Urdu shayari and poetry - II

Continuing the urdu shero-shayari posts...


Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

Gila tujse nahi koi,
gila apni majburiyo se karte hain,
tu aaj hamare karib na sahi ae dost,
mohabbat to hum teri duriyo se bhi karte hai......

Umar ki Raah mein Insaan badal jaata hai,
Waqt ki Aandhi mein Tufaan Badal jaata hai,
Sochta hu tumhe pareshan na karoon,
Lekin baad me iraada badal jaata hai..

sabhi nagme saaz me gaye nahi jaate,
sabhi log mahafil me bulaye nahi jaate,
kuch paas raha ker bhi yaad nahi aate,
kuch dur raha ker bhi bhulaye nahi jate........

Kisi dhadkte dil ke pichhe, jarur koi bat hoti hai,
Udas dil ke pichhe, kisiki yaad hoti hai,
Tumhe pata ho na ho ,tumhari khushi ke pichhe, Hamari Dua Hoti Hai

Kalam uthayi hai lafs nahi milta,
jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta,
firte hain vo jamaane ki talaash mein,
bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!


Aankho ki zubaan WO samaj nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate....
Apni bebasi kis tarah kahe hum,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate

Wo ruthe is kadar ki manaya naa gaya,
Durr itne ho gaye ki paas bulaya naa gaya,
Dil to dil tha, samundar ka saahil nahi,
Likh diya jo naam to phir mitaya naa gaya

Khuda se thoda reham khareed lete,
aapke zakhmon ka marham khareed lete,
agar kahin bikti khusiyan meri,
to saari bech kar aapka har gum khareed lete

Unki mohabbat ka abhi nishan baaki hai,
naam labh par hai jaan baki hai,
kya hua agar dekh kar muh fer lete hain,
tasalli hai ki abhi shakal ki pehchan baaki hai

2 comments:

Anonymous said...

bohot umda, Anoop bhai....lage rahiye...

bluesman said...

Thank you Thank you... welcome to the blog