Friday, February 10, 2006

Urdu shayari and poetry - III

Log milte hai bichad jaate hai,
sirf dil ke taar ched jaate hai,
youn to lete hai hum hazaaro naam
par kuch aap jaise log dil mein utar jaate hain.


Dhalati huyi shaam ka khula ehsaas hai,
Mere dil me teri jagah kuch khaas hai.
Tu nahi ho yaha per, malum hai mujhe,
Par dil yeh kehta hai tu yahi mere aas-paas hai


Wo pyar jo haqeeqat me pyar hota hai,
Zindagi me sirf ek baar hota hai.
Nigahon ke milte milte dil mil jaye,
ye sirf ek baar hota hai.

Wo din din nahi,wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi,jis pal teri baat nahi.
Teri yaadon se, maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukaat nahi.

Likhne se pehle salam karte hai,
Dard-e-dil se pegaam karte hai,
ye mat samjana ke bhool gaye hai hum,
yaad to apko subah shaam karte hai

Wo din din nahi,
wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi,
jis pal teri baat nahi.

Wo pyar jo haqeeqat me pyar hota hai,
Zindagi me sifr ek baar hota hai.
Nigahon ke milte milte dil mil jaye,
ye sirf ek baar hota hai.

bewafai ko majboori ka naam na do,
hakikat ko hadso ka naam na do..
agar chahat hai kisi ki mann me
to use dosti ka naam na do..

dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata,
humse tuta hua sisa dekha nahi jata,
apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe,
aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata

Tere saath ke liye hazaro tanhaiyan qurbaan
teri ek zhalak ke hazaro tasvere qurbaan
tu saath ho to aur kya chahiye
teri ek muskaan ke liye meri har khushi qurbaan

No comments: