Wednesday, April 19, 2006

Urdu shayari and poetry - VI

Check out the rest of the urdu shayari's on the links on the right of the page.


Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.


Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai

ho sakta hai anjane mein unhe rula diya...
unhone duniya ke kahne pe hume bhula diya...
hum to vaise bhi akele the...
kya hua agar unhone yaad dila diya...

aapki muskan hamari kamjori hai...
kuch keh na pana hamari majboori hai..
aap kyun nai samajte in assuon ko....
kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai

aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo...
log muthhi mein namak le ke phira kerte hain....
zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo...

saanp Khushbu ke ahaate mein basa kerte hain....
phool ke peRon ko aangan mein lagaya na karo...
haathh aaye usi lumhe ko Ghaneemat jano....
apni palkon pe koi Khwab sajaaya na karo...

yaad ki tapti hui ret mein jalne do mujhe....
aas ke badlo sir pe mere aaya na karo...
aaj ke daur ka paiGham yahi hai taalib~...
koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo...

Unke Bewafai Par Wafa hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge

hum doston ko bhulte nahi hain,
Magar yeh baat jatate nahi hain...
Doston ko hamesha rakhte hain yaad,
hum bhulne ke liye dost banate nahi hain...

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

No comments: