Tuesday, February 14, 2006

Urdu shayari and poetry - IV

kabr ki mitti utha le gaya koi,
usi bahane chu kar gaya koi,
tanhai aur andhere main khush the lekin,
phir se intezar karne ki wajah de gaya koi


Tumhare samne kyon Ashq mera bah nahi sakta,
Ise mahesooh ker sakta hun lekin kah nahi sakta,
Yeh mera pyar he ke dard he pyar ka,
Dilruba tere bina jannat me bhi rah nahi sakta.

Suni zindgi me hulchul mehsoos hui,
Bejan dilki aaj dhadkan mehsoos hui,
Jane aaj kyu esa laga,
Shayad teri kami mehsoos hui


Barshat aye aur jami gili na ho,
Dhup ayen aur sarson pili na ho,
a Dost ye tune kaise soch liya ke,
teri yaad aye aur ankhen gili na ho.


Jazba-E-Ishq nakam nahi hone denge,
Dil ki duniya me sham nahi hone denge,
Mohhabat ka har ilzam apne sar le lenge,
Par janeman tumhe kabhi badnam nahi hone denge


Koi aakhon se baat kar leta hai,
koi aakhon main mulaqat kar leta hain,
bada mushkil hota hai jawab dena,
jab koi khamosh rahkar sawaal kar lete hai..


dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata,
humse tuta hua sisa dekha nahi jata,
apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe,
aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata

Tere saath ke liye hazaro tanhaiyan qurbaan
teri ek zhalak ke hazaro tasvere qurbaan
tu saath ho to aur kya chahiye
teri ek muskaan ke liye meri har khushi qurbaan

2 comments:

RTD2 said...

Wah! Wah! Who wrote these/sang these? And why is it the last in the series?!

bluesman said...

The authors are anonymous...

There isn't any particular order, pretty random.. though I put in one of my favourite sher's on top of this post :)