Wednesday, April 19, 2006

Urdu shayari and poetry - V

Most of my hits seem to come from people searching for urdu sher's. So here are a few more coming your way

Jiski yaad mein hum sara jahan bhul gaye,
suna hai vo hamara naam tak bhul gaye,
kasam khai thi jisne sath nibhane ki,
yaaro aaj vo hamari lash par ana bhul gaye.

Tute hue paimane me kabhi jaam nahi ata,
dil ke mariz ko kabhi aram nahi hota,
ae dil todne wale zara itna to socha hota,
ki tuta hua dil kisike kam nahi aata ...

humse door hokar bhi hamare pass ho tum,
hamari suni zindagi ki ash ho tum,
kaun kaheta hai humse bichhad gaye ho tum,
tumhari yado ke roop mein hamari sans ho tum

Kismat ruk gayi dil ke tar tut gaye,
woh bhi ruk gayi, sapne bhi toot gaye,
baki rahe apne khazane mein do aasu,
yaad teri aayi to do aasu bhi lut gaye.

Talash karo koi tumhe mil jayega,
magar hamari tarah tumhe kaun chahega,
zaroor koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
magar aankhe hamari kaha se layega.

Yakin mano woh maut bhi badi suhani hogi,
Jisme hamari dosti virani hogi,
Chalo vada raha pehele hum jaenge,
kyunki tumahari swagat ki rasam bhi to nibhani hogi...!!!

na koi kisi ke paas hota hai,
na koi kisi se door hota hai,
Pyar khud chal kar aata hai
jab koi kisi ka naseeb hota hai.

Chand mein dekha to aap dikhe.
Badal mein dekha to aap dikhe.
Taro mein dekha to aap dikhe.
Yaar thoda side mein ho jao to kuch aur bhi dikhe.

Jaanta hu ke bewafa hain who,
Fir bhi dil ke haatho fareb khata hu.
Roz kehta hu ki bhool jaaunga usko,
Roz isi baat ko bhool jaata hu.

Raat hue jab sham ke baad,
Teri yaad aayi har baat ke baad.
humne khaamosh rehkar bhi dekha,
Teri aawaz aayi har saans ke baad.


Woh chand hai magar aap se pyara to nahi,
Parwane ka shamaa ke bin guzara to nahi...
Mere dil ne suni hai mitthi si awaaz kahi,
Aap ne hume pukara to nahi....

Zindgai udaas hone ka naam nahi,
Dosti sirf paas hone ka naam,
Agar tum door rehkar bhi hame yaad rakho.
isse badkar hame koi enaam nahi..

No comments: